jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae
azab-e-jawedani zindagi hai
rulati hai mujhe kyun chandni raat
yahi ek raaz meri zindagi hai
KHalish ho dard ho kahish ho kuchh ho
faqat jina bhi koi zindagi hai
halak-anjam takmil-e-tamanna
baqa-e-arzu hi zindagi hai
jigar mein Tis lab hansne pe majbur
kuchh aisi hi hamari zindagi hai
wo chahe jis qadar bhi muKHtasar ho
mohabbat ki jawani zindagi hai
umiden mar chukin main ji raha hun
ajab be-iKHtiyari zindagi hai
jawani aur hangamon se KHali
ye jina hai ye koi zindagi hai
guzari thin KHushi ki chand ghaDiyan
unhin ki yaad meri zindagi hai
mohabbat donon jaanib se mohabbat
na puchho aah kaisi zindagi hai
Ghazal
Jahan ahd-e-tamanna KHatm ho jae
Andaleeb Shadani