اردو हिंदी
Jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch | Shaahi Shayari
jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch

Ghazal

Jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch

Afroz Alam

;

jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch
nai sadi ko nai karbala se bahar khinch

main zehni taur pe aawara hota jata hun
mere shuur mujhe apni had ke andar khinch

nai zamin lahu ka KHiraj leti hai
dayar-e-ghair mein bhi KHushnuma sa manzar khinch

udas raat mein tare gawah bante hain
rag-e-habab se tu qatilana KHanjar khinch

abhi sitaron mein baqi hai zindagi ki ramaq
kuchh aur der zara narm garm chadar khinch

wajud-e-shahr to jangal mein Dhal chuka 'alam'
ab is jagah se mujhe jaanib-e-samundar khinch