اردو हिंदी
Jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe | Shaahi Shayari
jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

Ghazal

Jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

Sauda Mohammad Rafi

;

jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe

do din mein hum to rijhe ai wae haal un ka
guzre hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe

tar-e-nigah mein us ke kyunkar phanse na ye dil
aankhon ne jis ke lakhon wahshi ghazal bandhe

jo kuchh hai rang us ka so hai nazar mein apni
go jama zard pahne ya chira lal bandhe

tere hi samne kuchh bahke hai mera nala
warna nishane hum ne mare hain baal bandhe

bose ki to hai KHwahish par kahiye kyunki us se
jis ka mizaj lab par harf-e-sawal bandhe

maroge kis ko ji se kis par kamar kasi hai
phirte ho kyun pyare talwar Dhaal bandhe

do-chaar sher aage us ke paDhe to bola
mazmun ye tu ne apne kya hasb-e-haal bandhe

'sauda' jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai
sheron mein us ke tu ne kyun KHatt-o-KHal bandhe