jab yar ne raKHt-e-safar bandha kab zabt ka para us din tha 
har dard ne dil ko sahlaya kya haal hamara us din tha 
jab KHwab huin us ki aankhen jab dhund hua us ka chehra 
har ashk sitara us shab tha har zaKHm angara us din tha 
sab yaron ke hote sote hum kis se gale mil kar rote 
kab galiyan apni galiyan thin kab shahr hamara us din tha 
jab tujh se zara ghafil Thahre har yaad ne dil par dastak di 
jab lab pe tumhaara nam na tha har dukh ne pukara us din tha 
ek tum hi 'faraaz' na the tanha ab ke to bala wajib aai 
ek bhiD lagi thi maqtal mein har dard ka mara us din tha
 
        Ghazal
Jab yar ne raKHt-e-safar bandha kab zabt ka para us din tha
Ahmad Faraz

