jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai
raat hoti hai magar din ka yaqin hota hai
uf wo bedad inayat bhi tasadduq jis par
hae wo gham jo masarrat se hasin hota hai
hijr ki raat fusun-kari-e-zulmat mat puchh
shama jalti hai magar nur nahin hota hai
dur tak hum ne jo dekha to ye malum hua
ki wo insan ki rag-e-jaan se qarin hota hai
ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye
choT lagti hai kahin dard kahin hota hai
hum ne dekhe hain wo aalam bhi mohabbat mein 'hafiz'
aastan KHud jahan mushtaq-e-jabin hota hai
Ghazal
Jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai
Hafeez Banarasi