jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin
hum zindagi ke jaanne wale hue nahin
kahta hai aaftab zara dekhna ki hum
Dube the gahri raat mein kale hue nahin
chalte ho sina tan ke dharti pe kis liye
tum aasman to sar pe sambhaale hue nahin
anmol wo guhar hain jahan ki nigah mein
dariya ki jo tahon se nikale hue nahin
tai ki hai hum ne surat-e-mahtab rah-e-shab
tul-e-safar se panw mein chhaale hue nahin
Das len to un ke zahr ka aasan hai utar
ye sanp aastin ke pale hue nahin
teshe ka kaam resha-e-gul se liya 'shakeb'
hum se pahaD kaTne wale hue nahin
Ghazal
Jab tak gham-e-jahan ke hawale hue nahin
Shakeb Jalali