اردو हिंदी
Jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi | Shaahi Shayari
jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi

Ghazal

Jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi

Mirza Ghalib

;

jab tak dahan-e-zaKHm na paida kare koi
mushkil ki tujh se rah-e-suKHan wa kare koi

aalam ghubar-e-wahshat-e-majnun hai sar-ba-sar
kab tak KHayal-e-turra-e-laila kare koi

afsurdagi nahin tarab-insha-e-iltifat
han dard ban ke dil mein magar ja kare koi

rone se ai nadim malamat na kar mujhe
aaKHir kabhi to uqda-e-dil wa kare koi

chaak-e-jigar se jab rah-e-pursish na wa hui
kya faeda ki jaib ko ruswa kare koi

laKHt-e-jigar se hai rag-e-har-KHar shaKH-e-gul
ta chand bagh-bani-e-sahra kare koi

nakaami-e-nigah hai barq-e-nazara-soz
tu wo nahin ki tujh ko tamasha kare koi

har sang o KHisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
nuqsan nahin junun se jo sauda kare koi

sar bar hui na wada-e-sabr-azma se umr
fursat kahan ki teri tamanna kare koi

hai wahshat-e-tabiat-e-ijad yas-KHez
ye dard wo nahin ki na paida kare koi

bekari-e-junun ko hai sar piTne ka shughl
jab hath TuT jaen to phir kya kare koi

husn-e-farogh-e-shamma-e-suKHan dur hai 'asad'
pahle Dil-e-gudaKHta paida kare koi

wahshat kahan ki be-KHudi insha kare koi
hasti ko lafz-e-mani-e-anqa kare koi

jo kuchh hai mahw-e-shoKHi-e-abru-e-yar hai
aankhon ko rakh ke taq pe dekha kare koi

arz-e-sarishk par hai faza-e-zamana tang
sahra kahan ki dawat-e-dariya kare koi

wo shoKH apne husn pe maghrur hai 'asad'
dikhla ke us ko aaina toDa kare koi