اردو हिंदी
Jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai | Shaahi Shayari
jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai

Ghazal

Jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai

Mir Taqi Mir

;

jab rone baiThta hun tab kya kasar rahe hai
rumal do do din tak jun abr tar rahe hai

aah-e-sahar ki meri barchhi ke waswase se
KHurshid ke munh upar aksar sipar rahe hai

aagah to rahiye us ki tarz-e-rah-o-rawish se
aane mein us ke lekin kis ko KHabar rahe hai

un rozon itni ghaflat achchhi nahin idhar se
ab iztirab hum ko do do pahr rahe hai

aab-e-hayat ki si sari rawish hai us ki
par jab wo uTh chale hai ek aadh mar rahe hai

talwar ab laga hai be-Dol pas rakhne
KHun aaj kal kisu ka wo shoKH kar rahe hai

dar se kabhu jo aate dekha hai main ne us ko
tab se udhar hi aksar meri nazar rahe hai

aaKHir kahan talak hum ek roz ho chukenge
barson se wada-e-shab har subh par rahe hai

'mir' ab bahaar aai sahra mein chal junun kar
koi bhi fasl-e-gul mein nadan ghar rahe hai