اردو हिंदी
Jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil | Shaahi Shayari
jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil

Ghazal

Jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil

Osaama ameer

;

jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil
miTTi ke pyale mein tha sona sar-e-sahil

pani pe makan jaise makin aur kahin gham
kuchh aise nazar aai thi duniya sar-e-sahil

jab tai ho mulaqat us aashufta-sari se
tum aur hi kuchh rang pahanna sar-e-sahil

kashti mein nazar aai thi jannat ki tajalli
patwar uThate hi main bhaga sar sahil

ab qaum utare koi sine pe hamare
pahle to utara tha sahifa sar-e-sahil

main hath baDhata to bhala kaise baDhata
taswir mein the saghar-o-mina sar-e-sahil

hum log karachi ke ajab log hain sahab
khana hai samundar mein to pina sar-e-sahil