jab nazar us ki aan paDti hai
zindagi tab dhiyan paDti hai
jhel lete hain aashiq ai farhad
jis ke sar jaisi aan paDti hai
hai jafa se gharaz use itni
ki wafa imtihan paDti hai
nazar un mah-wishan ki hai zalim
kya ghazab aan-ban paDti hai
qadd-e-zahid nazar mein chille baad
utri si kuchh kaman paDti hai
baat is dil ke dard ki yaro
guftugu mein nidan paDti hai
ek ke munh se jis ghaDi nikli
phir to sau ki zaban paDti hai
lekin itna koi kahe mujh se
kabhu us ke bhi kan paDti hai
be-sabaati zamane ki na-chaar
karni mujh ko bayan paDti hai
garm-joshi-e-dostan ba-nazar
aatish-e-karwan paDti hai
dil se puchha ye main ki ishq ki rah
kis taraf mehrban paDti hai
kaha un ne ki ne ba-hindustan
ne su-e-asfhan paDti hai
ye do-raha jo kufr o din ka hai
donon ke darmiyan paDti hai
manzilat sher ki tere 'sauda'
yun ba-wahm-o-guman paDti hai
nahin 'isa' tu par suKHan se tere
tan-e-be-jaan mein jaan paDti hai

Ghazal
Jab nazar uski aan paDti hai
Sauda Mohammad Rafi