jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe 
is zindagi karne ko kahan se jigar aawe 
talwar ka bhi mara KHuda rakkhe hai zalim 
ye to ho koi gor-e-ghariban mein dar aawe 
mai-KHana wo manzar hai ki har subh jahan shaiKH 
diwar pe KHurshid ka masti se sar aawe 
kya jaanen we murghan-e-giraftar-e-chaman ko 
jin tak ki ba-sad-naz nasim-e-sahar aawe 
tu subh qadam-ranja kare Tuk to hai warna 
kis waste aashiq ki shab-e-gham basar aawe 
har su sar-e-taslim rakhe said-e-haram hain 
wo said-fagan tegh-ba-kaf ta kidhar aawe 
diwaron se sar marte phirne ka gaya waqt 
ab tu hi magar aap kabhu dar se dar aawe 
waiz nahin kaifiyyat-e-mai-KHana se aagah 
yak jura badal warna ye mindil dhar aawe 
sannaa hain sab KHwar azan jumla hun main bhi 
hai aib baDa us mein jise kuchh hunar aawe 
ai wo ki tu baiTha hai sar-e-rah pe zinhaar 
kahiyo jo kabhu 'mir' bala-kash idhar aawe 
mat dasht-e-mohabbat mein qadam rakh ki KHizar ko 
har gam pe is rah mein safar se hazar aawe
        Ghazal
Jab nam tera lijiye tab chashm bhar aawe
Mir Taqi Mir

