jab kabhi un ki tawajjoh mein kami pai gai
az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gai
bik gae jab tere lab phir tujh ko kya shikwa agar
zindagani baada o saghar se bahlai gai
ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waste
kin bahanon se tabiat rah par lai gai
hum karen tark-e-wafa achchha chalo yun hi sahi
aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gai
kaise kaise chashm o aariz gard-e-gham se bujh gae
kaise kaise paikaron ki shan-e-zebai gai
dil ki dhaDkan mein tawazun aa chala hai KHair ho
meri nazren bujh gain ya teri ranai gai
un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai
jurat-e-insan pe go tadib ke pahre rahe
fitrat-e-insan ko kab zanjir pahnai gai
arsa-e-hasti mein ab tesha-zanon ka daur hai
rasm-e-changezi uThi tauqir-e-darai gai
Ghazal
Jab kabhi unki tawajjoh mein kami pai gai
Sahir Ludhianvi