jab itni jaan se mohabbat baDha ke rakkhi thi
to kyun qarib-e-hawa shama la ke rakkhi thi
falak ne bhi na Thikana kahin diya hum ko
makan ki niw zamin se haTa ke rakkhi thi
zara phuwar paDi aur aable ug aae
ajib pyas badan mein daba ke rakkhi thi
agarche KHema-e-shab kal bhi tha udas bahut
kam-az-kam aag to hum ne jala ke rakkhi thi
wo aisa kya tha ki na-mutmain bhi the us se
usi se aas bhi hum ne laga ke rakkhi thi
ye aasman 'zafar' hum pe be-sabab TuTa
uDan kaun si hum ne bacha ke rakkhi thi
Ghazal
Jab itni jaan se mohabbat baDha ke rakkhi thi
Zafar Gorakhpuri