jab ayan subh ko wo nur-e-mujassam ho jae
gauhar-e-shabnam-e-gul nayyar-e-azam ho jae
marsiya ho mujhe gana jo sunun furqat mein
be-tere bazm-e-ghina majlis-e-matam ho jae
dekh kar tul-e-shab-e-hijr dua karta hun
wasl ke roz se bhi umr meri kam ho jae
dekh kar phulon ko angaron pe loTun ai gul
be-tere gulshan-e-firdaus jahannam ho jae
kam nahin milk-e-suleman se visal-e-saqi
gardish-e-jam mujhe halqa-e-KHatam ho jae
Ghazal
Jab ayan subh ko wo nur-e-mujassam ho jae
Mirza Raza Barq