اردو हिंदी
Jate jate rah mein usne munh se uThaya junhi parda | Shaahi Shayari
jate jate rah mein usne munh se uThaya junhi parda

Ghazal

Jate jate rah mein usne munh se uThaya junhi parda

Mushafi Ghulam Hamdani

;

jate jate rah mein us ne munh se uThaya junhi parda
rah ke jaane walon ne bhi munh us ka phir phir ke dekha

qais mile to us se puchhun kya tere ji mein aai diwane
shahr ko tu ne kis liye chhoDa kyun ke KHush aaya tujh ko sahra

subh se le kar sham talak yan ye wo gali hai jis mein phiren hain
chaak-gireban mu-e-pareshan hum se hazaron aashiq-e-ruswa

us ne maza kya paya hoga do chullu mai pine ka yan
jis mai-kash ke hath na aaya ghabghab-e-saghar saad-e-mina

soKHtagi ne gham ki asar jo dil mein kiya hai hone laga hai
thoDa thoDa rang dhuen ke sabza hamari KHak se paida

ek Thokar mein murde hazaron uTh baiThen hain gor se wohin
leta hai wo waqt-e-KHaramash panw se apne kar-e-masiha

jate hain na kisi ke ghar hum aur na koi kuchh deta hai hum ko
qata kiye hain hum ne donon pa-e-talab aur dast-e-tamanna

aankh laDana samne aana munh dikhlana aur chhup jaana
ye bhi ada hai koi zalim man KHuda ko mat de iza

'mushafi' is dilchasp zamin mein taba kare gar teri rasai
KHama tera kuchh kund nahin hai ek ghazal tu aur bhi likh ja