jaanib-e-dar dekhna achchha nahin
rah shab bhar dekhna achchha nahin
aashiqi ki sochna to Thik hai
aashiqi kar dekhna achchha nahin
izn-e-jalwa hai jhalak bhar ke liye
aankh bhar kar dekhna achchha nahin
ek tilismi shahr hai ye zindagi
pichhe muD kar dekhna achchha nahin
apne bahar dekh kar hans bol len
apne andar dekhna achchha nahin
phir nai hijrat koi darpesh hai
KHwab mein ghar dekhna achchha nahin
sar badan par dekhiye 'jawed' ji
hath mein sar dekhna achchha nahin
Ghazal
Jaanib-e-dar dekhna achchha nahin
Abdullah Javed