jaane kya dekha tha main ne KHwab mein 
phans gaya phir jism ke girdab mein 
tera kya tu to baras ke khul gaya 
mera sab kuchh bah gaya sailab mein 
meri aankhon ka bhi hissa hai bahut 
tere is chehre ki aab-o-tab mein 
tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi 
hai jo rishta saz aur mizrab mein 
mera wada hai ki sari zindagi 
tujh se main milta rahunga KHwab mein
        Ghazal
Jaane kya dekha tha maine KHwab mein
Shahryar

