اردو हिंदी
Jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log | Shaahi Shayari
jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log

Ghazal

Jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log

Nomaan Shauque

;

jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log
nafraton ki sham yaad aae purane yar log

wo to kahiye aap ki KHushbu ne pahchana mujhe
itr kah kar jaane kya kya bechte attar log

pahle mangin sar-bulandi ki duaen ishq mein
phir hawas ki chaakari karne lage bimar log

aap ki sada-dili se tang aa jata hun main
mere dil mein rah chuke hain is qadar hushyar log

is jawan-mardi ke sadqe jaiye har baat par
sar kaTane ke liye rahte hain ab tayyar log

phailta hi ja raha hai din-ba-din sahra-e-ishq
KHak uDate phir rahe hain sab ke sab bekar log

baadshahat ho na ho lekin bharam qaem rahe
har ghaDi ghere hue baiThe rahen do-chaar log