jaan-e-nashat husn ki duniya kahen jise
jannat hai ek KHun-e-tamanna kahen jise
us jalwa-gah-e-husn mein chhaya hai har taraf
aisa hijab chashm-e-tamasha kahen jise
ye asl zindagi hai ye jaan-e-hayat hai
husn-e-mazaq shorish-e-sauda kahen jise
mere wida-e-hosh ko itna bhi hai bahut
ye aab o rang husn ka parda kahen jise
aksar raha hai husn-e-haqiqat bhi samne
ek mustaqil sarab-e-tamanna kahen jise
ab tak tamam fikr o nazar par muhit hai
shakl-e-sifat mani-e-ashiya kahen jise
har mauj ki wo shan hai jam-e-sharab mein
barq-e-faza-e-wadi-e-sina kahen jise
zindaniyon ko aa ke na chheDa kare bahut
jaan-e-bahaar nikhat-e-ruswa kahen jise
is haul-e-dil se garm-rau-e-arsa-e-wajud
mera hi kuchh ghubar hai duniya kahen jise
sarmastiyon mein shisha-e-mai le ke hath mein
itna uchhaal den ki surayya kahen jise
shayad mere siwa koi us ko samajh sake
wo rabt-e-KHas ranjish-e-beja kahen jise
meri nigah-e-shauq pe ab tak hai munakis
husn-e-KHayal shahid-e-zeba kahen jise
dil jalwa-gah-e-husn bana faiz-e-ishq se
wo dagh hai ki shahid-e-rana kahen jise
'asghar' na kholna kisi hikmat-maab par
raaz-e-hayat saghar o mina kahen jise
Ghazal
Jaan-e-nashat husn ki duniya kahen jise
Asghar Gondvi