اردو हिंदी
Jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main | Shaahi Shayari
jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main

Ghazal

Jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main

Jafar Shirazi

;

jaan aise KHwabon se kis tarah chhuDaun main
shahr so gaya sara ab kise jagaun main

paemal sabze par dekh kar gire patte
ab zamin se KHud ko kis tarah uThaun main

in akeli raaton mein in akele raston par
kis ke sath aaun main kis ke sath jaun main

ek hi si tanhai ek hi sa sannaTa
dasht kya hai dil kya hai kya tujhe bataun main

dekh kaise din aae dekh main na kahta tha
tu qarib bhi aae aur tujhe bulaun main

aaj sab mein ghul-mil jaun mujh ko kya KHabar kal tak
kis ko yaad aaun main kis ko bhul jaun main

kitne kaam duniya ne de diye mujhe 'jafar'
ashk-e-gham giraun main bar-e-gham uThaun main