jal mein jis ke shauq aai hai
us ke dil kun taDaph kamahi hai
jag ke KHuban hain tujh pe sab maftun
tan mein yusuf bhi ek chahi hai
dagh sin kyun na dil ujala ho
chashm ki raushni siyahi hai
ab talak khinch khinch jaur-o-jafa
har tarah dosti nibahi hai
taur kya puchhte ho kafir ka
shoKH hai bankha hai sipahi hai
hath mein kahruba ki simran dekh
rang aashiq ka aaj kahi hai
haal aashiq ka kya bayan kije
KHwar hai KHasta hai tabahi hai
'abru' kyun na ho rahe KHamosh
dard kahne ki yan manahi hai
Ghazal
Jal mein jis ke shauq aai hai
Abroo Shah Mubarak