اردو हिंदी
Jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin | Shaahi Shayari
jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin

Ghazal

Jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin

Faez Dehlvi

;

jagir agar bahut na mili hum kun gham nahin
hasil hamare mulk-e-qanaat ka kam nahin

is sath mah-ruKHan ko nahin kuchh barabari
yusuf se ye nigar-e-pari-zad kam nahin

KHush-suratan se kya karun main aashnai ab
mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin

dil bandhte nahin hain hamare milap par
mah-talatan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin

milte ho sab ke ja ke ghar aur hum sun ho kanar
kuchh hum to un chakoron se ai mah kam nahin

zahir ke dost aate nahin kaam waqt par
talwar kaT kya kare jis ko jo dam nahin

'faez' ko bhaya misra-e-'yakrang' ai sajan
gar tum miloge un seti dekhoge hum nahin