jae aashiq ki bala hashr mein kya rakkha hai
ek fitna teri Thokar ka uTha rakkha hai
lutf-e-kaunain hai is mein meri botal ki piyo
zahido chashma-e-tasnim mein kya rakkha hai
mil hi jata hai koi chheDne wala mujh ko
tum alag ho to mujhe dil ne sata rakkha hai
kal wo fitna bhi qayamat mein qayamat hoga
jis ko aaj aap ne qadmon se laga rakkha hai
aae mayyat pe kis andaz se farmate hain
dam mere chheDne ko us ne chura rakkha hai
dil uDe jate hain har fitna-e-awaz ke sath
baiTh kar pardon mein ek hashr uTha rakkha hai
KHush rahoge jo piyo baada faqiri mein 'wasim'
mujh ko ek mast ne ye bhed bata rakkha hai

Ghazal
Jae aashiq ki bala hashr mein kya rakkha hai
Waseem Khairabadi