itne din ke baad tu aaya hai aaj
sochta hun kis tarah tujh se milun
mere andar jag uThi ek chandni
main zamin se aasman tak ang hun
aur ujla ho gaya qurbat ka chand
aur gahra ho gaya tera fusun
ai sarapa rang-nikhat tu bata
kis dhanak se tera pairahan banun
sare gul-buTe tar-o-taza hue
dur tak pahunchi hai meri mauj-e-KHun
kar rahe hain lamhe lamhe ka hisab
mil ke phir baiThe hain yaran-e-junun
dasht-e-gham ki dhup mein mujh par khula
main KHud apna saya-e-diwar hun
naz kar KHud par ki tu hai be-shumar
qadr kar meri ki main bas ek hun
Ghazal
Itne din ke baad tu aaya hai aaj
Athar Nafees