islam aur kufr hamara hi nam hai
kaba kunisht donon mein apna maqam hai
ye ishq jis ka shor hai aalam mein hain hamin
ye husn hum hain jis ki ye sab dhum dham hai
ban kar suKHan zaban pe aalam ki hain hamin
masruf apne zikr mein bas har ek dam hai
dekho jis aankh mein to hamara hi nur hai
har kan mein bhara ye hamara kalam hai
jo kushtagan-e-marka-e-tegh-e-ishq hain
un ke liye ye aalam-e-hasti dawam hai
ku-e-sanam se hum ko sarokar hai faqat
waiz teri bahisht ko apna salam hai
'asim' na chhoDo daman-e-KHadim-safi kabhun
mamur jis ki faiz se har KHas-o-am hai
Ghazal
Islam aur kufr hamara hi nam hai
Shah Aasim

