ishq ki jo lagan nahin dekha
wo birah ki agan nahin dekha
qadr muj ashk ki wo kya jaane
jis ne durr-e-adan nahin dekha
tuj gali mein jo kui kiya maskan
phir kar us ne watan nahin dekha
aarzu hai ki zulf kun khole
main ne kali rayan nahin dekha
lab-e-rangin dikha ai madan-e-husn
main aqiq-e-yaman nahin dekha
Tuk zamin par qadam rakho sajan
aaj naqsh-e-charan nahin dekha
dil abas tishna-lab hai kausar ka
piw ka chah-e-zaqan nahin dekha
ghuncha-e-gul kun dekh gulshan mein
gar tun piw ka dahan nahin dekha
tujh masal ai 'siraj' baad-e-'wali'
koi sahab-suKHan nahin dekha
Ghazal
Ishq ki jo lagan nahin dekha
Siraj Aurangabadi

