اردو हिंदी
Ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun | Shaahi Shayari
ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun

Ghazal

Ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun

Fartash Syed

;

ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun
KHud ko ruswa sar-e-bazar bhi kar sakta hun

tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair
main tere pyar se inkar bhi kar sakta hun

ghair mumkin hi sahi tujh ko bhulana lekin
ye jo dariya hai ise par bhi kar sakta hun

tu meri amn-pasandi ko ghalat nam na de
war sahta hi nahin war bhi kar sakta hun

mai-kada kar-e-digar aur janab-e-waiz
aisi neki main gunahgar bhi kar sakta hun

dawara main teri duniya mein to KHamosh raha
par sar-e-hashr main takrar bhi kar sakta hun