ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye 
husn bhi betab hai aur kis qadar mere liye 
han mubarak ab hai mearaj-e-nazar mere liye 
jis qadar wo dur-tar nazdik-tar mere liye 
khel hai bazicha-e-sham-o-sahar mere liye 
do gul-e-bazi hain ye shams o qamar mere liye 
waqf hai sayyaad ki ek ek nazar mere liye 
han mubarak ye shikast-e-baal-o-par mere liye 
garm hai hangama-e-sham-o-sahar mere liye 
raat din gardish mein hain shams o qamar mere liye 
main hun wahshi aah kis sahra-e-afat-KHez ka 
hai gul-e-virana bhi begana-tar mere liye 
us maqam-e-ishq mein hun marhaba ai be-KHudi 
zarra zarra hai jahan garm-e-safar mere liye 
jazb ho kar rah gaya hun main jamal-e-dost mein 
ishq hai tabinda-tar painda-tar mere liye 
main nahin kahta ki main hun tu ho teri KHalwaten 
han magar sab se juda KHas ek nazar mere liye 
allah allah main bhi kya nazuk-dimagh-e-ishq hun 
nikhat-e-gul bhi hai wajh-e-dard-e-sar mere liye 
phir bhi aankhen DhunDhti hain ek sarapa naz ko 
main ne mana kuchh nahin hadd-e-nazar mere liye 
rah-raw-e-rah-e-talab ko KHizr ki hajat nahin 
zarra zarra hai charagh-e-rah-guzar mere liye 
apne dil mein juz tere main bhi sama sakta nahin 
mera har har sans hai zanjir-e-dar mere liye 
mujh ko jannat hi jo duniya hai to ya-rab baKHsh de 
bas yahi daman-e-tar chashman-e-tar mere liye 
tark-e-mai se aur bhi main to sharabi ban gaya 
roz aa jata hai mina-e-sahar mere liye 
jis ne zahid se bhi kafir ke uDa Dale hain hosh 
us se bhi kuchh aur saqi tez-tar mere liye 
wo mera saghar-ba-kaf hona pashemani ke sath 
abr-e-rahmat ka wo uThna jhum kar mere liye 
kal shab-e-mahtab mein ek bulbul-e-afat-nawa 
markaz-e-gham ban raha tha raat bhar mere liye 
na-gahan lab-ha-e-barg-e-gul se ye aai nida 
nale karta hai abas ai be-KHabar mere liye 
main bhi hun apni jagah KHunin-jigar KHunin-kafan 
tu na apni jaan kho ai musht-e-par mere liye 
bas ye sunna tha ki pa-e-gul pe gir kar mar miTa 
ban gaya ek naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye 
zindagi ek tohmat-e-beja hai meri zat par 
maut ek ilzam-e-na-jaez 'jigar' mere liye 
main to har haalat mein KHush hun lekin us ka kya ilaj 
DabDaba aati hain wo aankhen 'jigar' mere liye
 
        Ghazal
Ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye
Jigar Moradabadi

