اردو हिंदी
Is shahr-e-sang-e-saKHt se ghabra gaya hun main | Shaahi Shayari
is shahr-e-sang-e-saKHt se ghabra gaya hun main

Ghazal

Is shahr-e-sang-e-saKHt se ghabra gaya hun main

Khaleel Mamoon

;

is shahr-e-sang-e-saKHt se ghabra gaya hun main
jangal ki KHushbuon ki taraf ja raha hun main

manzar ko dekh dekh ke aankhen chali gain
hathon se aaj apna badan DhunDhta hun main

chilla raha hai koi mere lams ke liye
andhiyari wadiyon se nikal bhagta hun main

qatil ke hath mein koi talwar hai na tegh
wo muskura raha hai mara ja raha hun main

mujh ko wo mere dil ke ewaz de sakenge kya
'mamun' duniya walon se kya mangta hun main