is shahr-e-KHarabi mein gham-e-ishq ke mare
zinda hain yahi baat baDi baat hai pyare
ye hansta hua chand ye pur-nur sitare
tabinda o painda hain zarron ke sahaare
hasrat hai koi ghuncha hamein pyar se dekhe
arman hai koi phul hamein dil se pukare
har subh meri subh pe roti rahi shabnam
har raat meri raat pe hanste rahe tare
kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware
Ghazal
Is shahr-e-KHarabi mein gham-e-ishq ke mare
Habib Jalib