is se pahle ki be-wafa ho jaen
kyun na ai dost hum juda ho jaen
tu bhi hire se ban gaya patthar
hum bhi kal jaane kya se kya ho jaen
tu ki yakta tha be-shumar hua
hum bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaen
hum bhi majburiyon ka uzr karen
phir kahin aur mubtala ho jaen
hum agar manzilen na ban pae
manzilon tak ka rasta ho jaen
der se soch mein hain parwane
rakh ho jaen ya hawa ho jaen
ishq bhi khel hai nasibon ka
KHak ho jaen kimiya ho jaen
ab ke gar tu mile to hum tujh se
aise lipTen teri qaba ho jaen
bandagi hum ne chhoD di hai 'faraaz'
kya karen log jab KHuda ho jaen
Ghazal
Is se pahle ki be-wafa ho jaen
Ahmad Faraz