is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
warna ab talak yun tha KHwahishon ki barish mein
ya to TuT kar roya ya ghazal-sarai ki
taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
aaj un se majburan taza aashnai ki
ho chala tha jab mujh ko iKHtilaf apne se
tu ne kis ghaDi zalim meri ham-nawai ki
tark kar chuke qasid ku-e-na-muradan ko
kaun ab KHabar lawe shahr-e-ashnai ki
tanz o tana o tohmat sab hunar hain naseh ke
aap se koi puchhe hum ne kya burai ki
phir qafas mein shor uTTha qaidiyon ka aur sayyaad
dekhna uDa dega phir KHabar rihai ki
dukh hua jab us dar par kal 'faraaz' ko dekha
lakh aib the us mein KHu na thi gadai ki
Ghazal
Is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
Ahmad Faraz