is naz is andaz se tum hae chalo ho
roz ek ghazal hum se kahlwae chalo ho
rakhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw
chalna zara aaya hai to itrae chalo ho
diwana-e-gul qaidi-e-zanjir hain aur tum
kya ThaT se gulshan ki hawa khae chalo ho
mai mein koi KHami hai na saghar mein koi khoT
pina nahin aae hai to chhalkae chalo ho
hum kuchh nahin kahte hain koi kuchh nahin kahta
tum kya ho tumhin sab se kahlwae chalo ho
zulfon ki to fitrat hi hai lekin mere pyare
zulfon se ziyaada tumhin bal khae chalo ho
wo shoKH sitamgar to sitam Dhae chale hai
tum ho ki 'kalim' apni ghazal gae chalo ho
Ghazal
Is naz is andaz se tum hae chalo ho
Kaleem Aajiz