is ishq o junun mein na gareban ka Dar hai
ye ishq wo hai jis mein hamein jaan ka Dar hai
aasan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna
yan nuh ki kashti ko bhi tufan ka Dar hai
bazar se guzre hai wo be-parda ki us ko
hindu ka na KHatra na musalman ka Dar hai
dil KHun main taDpe hai tere tir-e-nigah se
par us pe bhi zalim tere paikan ka Dar hai
darban bhi yan kachche ghaDe pani bhare hai
wo hain hamin yan jin ko ki darban ka Dar hai
wo shoKH kahin waqt-e-namaz aan na nikle
ai 'mushafi' mujh ko usi shaitan ka Dar hai
Ghazal
Is ishq o junun mein na gareban ka Dar hai
Mushafi Ghulam Hamdani

