is gulshan-e-pur-KHar se manind-e-saba bhag
wahshat yahi kahti hai ki zanjir tuDa bhag
girte the KHaridar kab is tarah se us par
panw se tere lagte hi mehndi ko laga bhag
shoKHi kahun kya tere tasawwur ki ki he he
shab samne aa kar mere aage se gaya bhag
jab kabk-e-dari dekhe hai raftar ko us ki
kahta hai yahi ji mein ye raftar uDa bhag
zahid jo hua kar ke wuzu hauz pe qaem
ek rind ko sujhi ki tu ab us ko gira bhag
Thahra jo zara bahr-e-mohabbat pe main ja kar
aai lab-e-sahil se yahi us ke sada bhag
ai 'mushafi' hai mar-e-falak rahzan-e-mardum
tu bhag sake us se to az-bahr-e-KHuda bhag
Ghazal
Is gulshan-e-pur-Khaar se manind-e-saba bhag
Mushafi Ghulam Hamdani

