is dil ko ham-kanar kiya hum ne kya kiya
dushman ko dost-dar kiya hum ne kya kiya
rahta yahi hai dil mein shash-o-panj-e-yar se
aaina kyun do-chaar kiya hum ne kya kiya
muTThi bharam ki ghuncha-sifat is chaman mein khol
asrar aashkar kiya hum ne kya kiya
dar-parda dosti hui hum apne haq mein aah
mutrib-pisar ko yar kiya hum ne kya kiya
islam bhi ba-jabr tha ai shaiKH-o-barhaman
kyun jabr iKHtiyar kiya hum ne kya kiya
tasbih to paDi thi gale ek dusri
zunnar ko bhi haar kiya hum ne kya kiya
dil ko dukha ke chin-e-jabin-e-pari-washan
jun barq be-qarar kiya hum ne kya kiya
kahne laga wo qabr pe aashiq ki kyun guzar
sahwan sar-e-mazar kiya hum ne kya kiya
haihat aashna the jo mauj-e-bala ke pech
un ka na intizar kiya hum ne kya kiya
bahr-e-jahan se dida-o-danista jun hubab
ba-chashm-e-tar guzar kiya hum ne kya kiya
dasht-e-junun se toD ke rishte ko jeb ke
daman bhi tar kiya hum ne kya kiya
us sarw-qad ke ishq mein ye phal mila 'nasir'
har sad aah war kiya hum ne kya kiya

Ghazal
Is dil ko ham-kanar kiya humne kya kiya
Shah Naseer