is daur ke asar ka jo puchho bayan nahin
hai kaun si zamin ki jahan aasman nahin
is darja dilbaron se koi rasm-e-dilbari
dil hath par liye hun koi dil-sitan nahin
afsurda dil tha ab to hua gham se murda-dil
jita hun dekhne mein wale mujh mein jaan nahin
aadab sohbaton ka koi hum se sikh le
par kya karun ki talib-e-sohbat yahan nahin
dil jal ke bujh gaya hai kisi ne KHabar na li
hum soKHta-dilon ka koi qadr-dan nahin
hai kal ki baat sab ke dilon mein aziz tha
par in dinon to ek bhi dil mehrban nahin
aisi hawa bahi ki hai chaaron taraf fasad
juz saya-e-KHuda kahin dar-ul-aman nahin
aalam ki haigi nirKH-e-ilahi se zindagi
tis par bhi dekhta hun ki bahuton ko nan nahin
'hatim' KHamosh lutf-e-suKHan kuchh nahin raha
bakta abas phire hai koi nukta-dan nahin
Ghazal
Is daur ke asar ka jo puchho bayan nahin
Shaikh Zahuruddin Hatim