is arz ke taKHte par sansar hai aur main hun
mauhum hua to kya par yar hai aur main hun
paDti hai nazar jidhar wo yar hai aur main hun
hai kaun siwa mere dildar hai aur main hun
main yar kane qasid bheja to hai par shayad
le nama agar aaya ribar hai aur main hun
moDunga nahin munh ko main ishq ke maidan se
is yar ke abru ki talwar hai aur main hun
ab dekhiye kya nibTe sina hai sipar apna
wo KHanjar-e-mizhgan ka KHun-KHar hai aur main hun
jab se ba-sanam-KHana ki main ne qadam-bosi
sau tarah ki zahid se takrar hai aur main hun
rahib ne mere qashqa sandal ka lagaya hai
naqus hai ghanTa hai zunnar hai aur main hun
naf-o-zarar-e-duniya duniya hi pe main chhoDa
ab ishq ka ai yaro bewpar hai aur main hun
hairan main hun ai yaro kis waste 'afridi'
ruswai ba-har kucha bazar hai aur main hun

Ghazal
Is arz ke taKHte par sansar hai aur main hun
Qasim Ali Khan Afridi