irada tha ki ab ke rang-e-duniya dekhna hai
KHabar kya thi ki apna hi tamasha dekhna hai
Dasega bebasi ka nag jaane aur kab tak
na jaane aur kitne din ye naqsha dekhna hai
dua ka shamiyana bhi nahin hai ab to sar par
so KHud ko hiddat-e-gham mein jhulasta dekhna hai
nahin ab sochna kya ho chuka kya hoga aage
bas ab to hath ki rekha ka likkha dekhna hai
bahut dekha hai KHud ko ranj par taqsim hote
aur ab taqsim-dar-taqsim hota dekhna hai
main phir ek KHat tere aangan girana chahta hun
mujhe phir se tera rang-e-burida dekhna hai
tu sar-ta-pa zabani yaad ho jaegi mujh ko
ki ab main ne tujhe itna ziyaada dekhna hai
'hasan' main ek lambi sans lena chahta hun
main jaisa tha kisi din KHud ko waisa dekhna hai
Ghazal
Irada tha ki ab ke rang-e-duniya dekhna hai
Hasan Abbas Raza