in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan
le jaen hum uTha ke ye shishe ka ghar kahan
hum apna nam le ke KHud apne hi shahr mein
ghar ghar pukar aae khula koi dar kahan
jaise har ek dar pe KHamoshi ka qufl ho
ab gunjti hai shahr mein zanjir-e-dar kahan
har waqt samne tha samundar KHulus ka
lekin kisi ne dekha kabhi Dub kar kahan
jo chaho bhi to jism se nikaloge kis tarah
mahbas mein sans ke koi diwar-o-dar kahan
is saKHt dopahar mein kahan ja ke baiThiye
rahon mein dur tak 'saba' koi shajar kahan

Ghazal
In pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan
Saba Ikram