in ko dekha tha kahin yaad nahin
aasman tha ki zamin yaad nahin
chand taron ki mundi thin aankhen
tha kahan mehr-e-mubin yaad nahin
naghma hi naghma tha ya rang hi rang
hum makan the ki makin yaad nahin
ahd-o-paiman ki jhamakti shamen
kis tarah Dub gain yaad nahin
ab ye aalam hai ki KHud hum ko bhi
kyun hue barq-nashin yaad nahin
maut pyari jo laga karti hai
is qadar kyun hai ghamin yaad nahin
ras bhari subhen nashili shamen
kis ke hamrah gain yaad nahin
rakh ke Dher hain chaaron jaanib
bastiyan kaise luTin yaad nahin
jin ki tabir hain aansu 'shohrat'
aaj wo KHwab-e-hasin yaad nahin
Ghazal
Inko dekha tha kahin yaad nahin
Shohrat Bukhari

