اردو हिंदी
Ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain | Shaahi Shayari
ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain

Ghazal

Ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain

Abrar Shahjahanpuri

;

ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain
mere kashana-e-dil mein wo mehman ho bhi sakte hain

koi sayyaad se puchhe ki o na-waqif-e-ulfat
ye diwane kahin paband-e-zindan ho bhi sakte hain

bata ai KHizr rah-e-ishq mein manzil hai aisi bhi
kahin hum waqif-e-asrar-e-jaanan ho bhi sakte hain

zaban-e-shauq par chha jaega mayusi-e-paiham
lab-e-KHamosh rudad-e-dil-o-jaan ho bhi sakte hain

ba-pas-e-ehtiram-e-ishq hum KHamosh hain warna
pareshan kar bhi sakte hain pareshan ho bhi sakte hain

kabhi ai dida-e-KHun-baz tu ne ye bhi socha hai
ye tohfe baryab-e-bazm-e-jaanan ho bhi sakte hain

nizam-e-zindagi 'abrar' kab tak darham-o-barham
kahin yakja ye auraq-e-pareshan ho bhi sakte hain