ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi
KHud jagti hai mujh ko jagati hai aaj bhi
ye kaisi mutriba hai jo chhup kar jahan se
dhime suron mein raat ko gati hai aaj bhi
sadiyan guzar gain jise Dube hue yahan
us ko sada-e-shauq bulati hai aaj bhi
jis shahr-e-arzu ke nishanat miT gae
dil ki nigah phir wahin jati hai aaj bhi
honTon pe bar bar zaban pherta tha jo
us qafile ki pyas rulati hai aaj bhi
parbat ki choTiyon pe wo roti hui ghaTa
kis hadse pe nir bahati hai aaj bhi
bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise
wo paniyon mein aag lagati hai aaj bhi
har roz aa ke KHwab mein pazeb ki sada
dhaDkan hamare dil ki baDhati hai aaj bhi
'hasrat' koi to kho gaya umr-e-aziz ka
jo nange panw dauDti jati hai aaj bhi
Ghazal
Ek yaad so rahe ko uThati hai aaj bhi
Ajeet Singh Hasrat