اردو हिंदी
Ek tasawwur to hai taswir nahin | Shaahi Shayari
ek tasawwur to hai taswir nahin

Ghazal

Ek tasawwur to hai taswir nahin

Ahmad Zafar

;

ek tasawwur to hai taswir nahin
KHwab hai KHwab ki tabir nahin

ye rihai ki tamanna kya hai
jab mere panw mein zanjir nahin

subh meri tarah aabaad nahin
sham meri tarah dil-gir nahin

kyun ubhar aaya teri yaad ka chand
jab ujala meri taqdir nahin

sang mein phul khilane walo
fan yahan bais-e-tauqir nahin

baat kahne ka saliqa hai ghazal
shairi husn hai taqrir nahin

dil usi aag mein jalta hai 'zafar'
hae jis aag mein tanwir nahin