اردو हिंदी
Ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab isMein rahte hain | Shaahi Shayari
ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab isMein rahte hain

Ghazal

Ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab isMein rahte hain

Mohammad Ajmal Niyazi

;

ek shaKHs jazira raazon ka aur hum sab is mein rahte hain
ek ghar hai tanha yaadon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek mausam hare parindon ka wo sard hawa ka rizq hua
ek gulshan KHali peDon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek aankh hai dariya aankhon ka har manzar us mein Dub gaya
ek chehra sahra chehron ka aur hum sab is mein rahte hain

ek KHwab KHazana nindon ka wo hum sab ne barbaad kiya
ek nind KHaraba KHwabon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek lamha lakh zamanon ka wo maskan hai viranon ka
ek ahd bikharte lamhon ka aur hum sab is mein rahte hain

ek rasta us ke shahron ka hum us ki dhul mein dhul hue
ek shahr us ki ummidon ka aur hum sab is mein rahte hain