ek pari ka phir mujhe shaida kiya
ishq ne phir mufsida barpa kiya
aaj phir us shoKH ne fuqara kiya
wada-e-imroz bhi farda kiya
KHun-e-nahaq ek musalman ka kiya
kya ghazab o shoKH-e-be-parwa kiya
dil ko mail shoala-ruon ka kiya
din-e-zardashti ko phir ahya kiya
abr akasr us baras barsa kiya
kya tatabbo dida-e-tar ka kiya
kyun ajal kya tujh ko bhi maut aa gai
is qadar aane mein kyun arsa kiya
kan ki bijli jo yaad aai teri
barq ke manind main taDpa kiya
wo kaf-e-pa-e-hinai kar ke yaad
hijr ki shab eDiyan ragDa kiya
us ko bhi sakta hua dekh aaina
der tak hairat se munh dekha kiya
mein bhala kyun-kar kahun tum ko bura
aap ne jo kuchh kiya achchha kiya
KHak chhani muddaton tinke chune
kya kahun is ishq mein kya kya kiya
kal na paoge hamein kahiyo safir
aaj aane mein agar hila kiya
wan hue missi se lab un ke kabud
piT kar munh hum ne yan nila kiya
tab uThe hain un buton ke hum se naz
jab kaleja apna patthar ka kiya
hai girah mu-e-kamar ki naf-e-yar
fikr ne apne ye uqda wa kiya
lag paida kar ke ab jallad se
jaan khoi hae dil ne kya kiya
danD pe bandha hum ne joshan ki tarah
harz-e-jaan qatil tera chhalla kiya
mujh ko majnun kar diya manind-e-qais
sehr kuchh aur ghairat-e-laila kiya
marke mein ishq ke sarka na panw
aabru ko jaan ko sadqa kiya
soz-e-furqat ne shararat mujh se ki
haizam-e-tar ki tarah sulga kiya
ai shab-e-furqat na kar mujh par azab
main ne tera munh nahin kala kiya
zulf-e-jaanan jis ne dekhi ek bar
dil se apne umr bhar uljha kiya
is musibat se shab-e-furqat kaTi
panw piTe aah ki nala kiya
ishq afshan-e-jabin-e-yar mein
KHak chhalni ki tarah chhana kiya
tha munasib tark-e-ishq-e-yar 'rind'
aap ne ansab kiya aula kiya
Ghazal
Ek pari ka phir mujhe shaida kiya
Rind Lakhnavi