ek mahakte gulab jaisa hai
KHub-surat se KHwab jaisa hai
main use paDhti hun mohabbat se
us ka chehra kitab jaisa hai
be-yaqini hi be-yaqini hai
har samundar sarab jaisa hai
main bhaTakti hun kyun andheron mein
wo agar aaftab jaisa hai
Dubti jae zist ki naw
hijr lamha chanab jaisa hai
main haqaeq bayan kar dungi
ye gunah bhi sawab jaisa hai
chain milta hai us se mil ke magar
chain bhi iztirab jaisa hai
ab 'shabana' mere liye wo shaKHs
ek bhule nisab jaisa hai
Ghazal
Ek mahakte gulab jaisa hai
Shabana Yousaf