ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise
hai is mein ek tilism tamanna kahen jise
ek shakl hai tafannun-e-taba-e-jamal ki
is se ziyaada kuchh nahin duniya kahen jise
KHamyaza hai karishma-parasti-e-dahr ka
ahl-e-zamana aalam-e-uqba kahen jise
ek ashk armida-e-zabt-e-gham-e-firaq
mauj-e-hawa-e-shauq hai dariya kahen jise
ba-wasf-e-zabt-e-raaz mohabbat hai aashkar
uqda hai dil ka aqd-e-surayya kahen jise
barham-zan-e-hijab hai KHud-raftagi-e-husn
ek shan-e-be-KHudi hai zuleKHa kahen jise
aks-e-safa-e-qalb ka jauhar hai aaina
warafta-e-jamal KHud-ara kahen jise
ram-shewa hai sanam to hai ram-ashna ye dil
hasil hai mujh ko aish muhayya kahen jise
KHuni kafan ye saint ke rakkha hai kis liye
qatil wo hai ki rashk-e-masiha kahen jise
sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin dahr ka wajud
'kaifi' ye baat wo hai muamma kahen jise
Ghazal
Ek KHwab ka KHayal hai duniya kahen jise
Dattatriya Kaifi