ek KHayal-afroz mauj aai to thi
main ne apni satr mahkai to thi
tum nahin the yaad thi har su muhit
main nahin thi meri tanhai to thi
dar-ba-dar be-pairahan tha KHwab-e-ishq
main ne us ko aankh pahnai to thi
phir mujhe us ne kaha sab jhuT hai
ek lamhe ko main ghabrai to thi
dur tak bichhta chala jata tha shauq
kuchh nahin tha dasht-paimai to thi
kyun mujhe dariya bulata hai qarib
us ki aankhon mein bhi gahrai to thi
kyun zamin-o-asman hain raqs mein
aur kya tha ek angDai to thi
lamha bhar ko hi Dhala tha aaftab
lamha bhar ko rah dhundlai to thi
main ki haq par DaT gai thi 'rashida'
us ki baaton mein bhi sachchai to thi

Ghazal
Ek KHayal-afroz mauj aai to thi
Rasheeda Maheen Malik