ek ek qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal
duniya ki aarzu hai to duniya se bach ke chal
KHud DhunDh lega tujh ko tera munfarid maqam
rah-e-talab mein naqsh-e-kaf-e-pa se bach ke chal
baqi hai mere dil mein abhi azmat-e-wajud
qatre se kah raha hun ki dariya se bach ke chal
milti nahin hai rah-e-sukun KHauf-o-yas mein
gulshan ki justuju hai to sahra se bach ke chal
munh jada-e-wafa se na moD ai wafa-shiar
lekin hudud-e-chashm-e-tamasha se bach ke chal
kitni hasin hain un ke sitam ki masarraten
shukr-e-karam ki zahmat-e-be-ja se bach ke chal
lamhe udas udas fazaen ghuTi ghuTi
duniya agar yahi hai to duniya se bach ke chal
apne adab pe naz hai tujh ko agar 'shakil'
maghrib-zada adib ki duniya se bach ke chal
Ghazal
Ek ik qadam fareb-e-tamanna se bach ke chal
Shakeel Badayuni